Kuch Alfaz…Ghalib ke aur kuch Faiz ke…
December 7, 2006
unke dekhe se jo aa jaathi hai moonh par raunaq
wo samajhten hain ke beemaar ka haal achcha hai.
—————
mohabbat main nahi hay farq jeene aur marne ka
uski ko dekh kar jeete hain jis kafir pay dum nikle!!
—————
Har ek baat pe kehtey ho tum k tu kya hai
Tumhi kaho k yeah andazey guftago kya hai
—————
Rago Mein Daurtey Pherney K Hum NAhi Kayel
Jab Ankh Say hy Na Tapka to Pher Laho Kia hai
—————
zikr us pareewash kaa, aur phir bayaan apnaa
ban gayaa raqeeb aakhir thaa jo raazdaan apnaa
—————
Tere dard main yun dukhi hain ghalib
ke Aansoo bhi aatay hain rasta badal badal ker
—————
wo mujhe pooch raha tha batao kaisa laga
purane zakhmon ko choodo ye ghao kaisa laga
ajeeb sawal kia aandhion ne patton se
shajr se toot k girna batao kaisa laga…
—————
Kahan tak teray wadon pe,,
mera dil faraib khaye,,
koi aisa kar bahana..
ki meri aas hi toot jaye
—————
Raat yun dil mein teri, khoyi hui yaad aayi,
Jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaye,
Jaise sahraaon mein haule se chale baad-e-naseem,
Jaise bimaar ko be-wajaah quraar aa jaaye.
—————
main dooba to kinare pe khadi thi duniya,
hasne walon mein mera mukaddar bhi shamil tha,
ro rahe thi janaze se lipat kar mere,
kaise keh du ki wohi mera katil bhi tha.